Talaash
Kahaani ko anjaam mil chuka hai
Main ab abhi uska aagaaz dhoondh rahi hoon…
Haalaat khaamoshi ka farmaan lekar aaye hain
Main kuch zaahir karne ke liye alfaaz dhoondh rahi hoon…
Zamaana beimaani se bhara hai
Main har shaqs mein imaan dhoondh rahi hoon…
Har gul aaj is duniya mein tabaah hai
Main wohi puraana gulistaan dhoondh rahi hoon…
Dard mein tadap raha mera saaya hai
Main tasavur mein apni muskaan dhoondh rahi hoon…
Aaj maut mujhe apni giraft mein lene ke liye khadi hai
Main ik azaad zindagi ka paigaam dhoondh rahi hoon…
Comments
beautiful picture