Talaash

Kahaani ko anjaam mil chuka hai

Main ab abhi uska aagaaz dhoondh rahi hoon…

Haalaat khaamoshi ka farmaan lekar aaye hain

Main kuch zaahir karne ke liye alfaaz dhoondh rahi hoon…

Zamaana beimaani se bhara hai

Main har shaqs mein imaan dhoondh rahi hoon…

Har gul aaj is duniya mein tabaah hai

Main wohi puraana gulistaan dhoondh rahi hoon…

Dard mein tadap raha mera saaya hai

Main tasavur mein apni muskaan dhoondh rahi hoon…

Aaj maut mujhe apni giraft mein lene ke liye khadi hai

Main ik azaad zindagi ka paigaam dhoondh rahi hoon…

Comments

do extremes ke beech ki kashmakash mein dheron jawabon ki talaash...
beautiful picture

Popular Posts