Ehsaas..
Dard ka zakhm gehra hota gaya
Khud ubhar na sake dard ki gehraayion se
Nigaahon ne haqeeqat ka deedaar kya kar liya
Phir aaj bewafaai kar baithen ashkon se
Yeh aansu ab jaye bhi toh kahaan?
Chupna chahate the yeh zamaane se
Kitne mausam pathjhad ko bahaar samjha
Ehsaas hua,hum toh har pal kismat ke khaadim the...
Comments