Khaamoshi..Ek Baar Phir...




Waqt se ilteja ki thi humne
Ki bhar dena un zakhmon ko
Saawan se bheeg chuke hain woh muskuraate pal
Jala dena un lamhon ko...

Waqt ne bhi kuch pal saath diya
Kaash dava us hakeem ki, humare kaam aati
Zindagi se gham ko rukhsat kar paate hum
Tadpaati dopahar ke baad, phir ik madhosh shaam aati...

Khuli aankhon ke khwaabon ko, haqeeqat bana na sake
Is 'kaash' ko apna 'aaj' bana na sake
Kyunki aaj,
Dard ke dil ko azeez ho chuki hai
Zamaane ke darbaar mein, kaneez ho chuki hai
Barbaadi ki shor mein shareeq ho chuki hai
Numaayish kar baithi hai, ik tawayaf ho chuki hai
Ek baar phir,
Meri..


...Khaamoshi.



...Sneha Mani.

Comments

Popular Posts